Na Ji Bhar Ke Dekha Na Kuchh Baat Ki - Bashir Badr



Na ji bhar ke dekha na kuchh baat ki...

Badi aarzu thi mulaqat ki...


Ujalon ki pariyan nahane lagin...

Nadi gungunai khayalat ki...


Main chup tha to chalti hava ruk gai...

zaban sab samajhte hain jazbat ki...


Muqaddar meri chashm-e-pur-ab ka...

Barasti hui raat barsat ki...


Kai saal se kuchh ḳhabar hi nahin...

Kahan din guzara kahan raat ki...





SOURCE :

Book: Aasman (Pg. 75) Author: Bashir Badar Publication 



Comments

Popular posts from this blog

Ishq Ki Mehfil : Here's some lovely and sad Shayari By: Shaikh Hozaifa

Let’s have A look at the Biography of All-Time Best Shayar: Ahmad Faraz