Ahmad Faraz's Timeless Love Shayari is a tribute to relationships

Suna Hai Log Use Aankh Bhar Ke Dekhte Hain...
So Us Ke Shahr Men Kuch Din Thahar Ke Dekhte Hai...
Suna Hai Hashr Hain Uski Ghazal Si Ankhen...
So Us Ko Surma-Farosh Aah Bhar Ke Dekhte Hai...

 


Ranjish Hi Sahi Dil Hi Dukhane Ke Liye Aa...
Aa Phir Se Mujhe Chhod Jane Ke Liye Aa...
Kuch To Mire Pindar-e-Mohabbat Ka Bharam Rakh...
Tu Bhi Toh Kabhi Mujh Ko Manane  Ke Liye Aa...

 


Ab Ke Bichhde To Shayad Kabhi Khvabon Men Milen...
Jis Tarah Sukhe Hue Phuul Kitabon Men Milen...
Dhundh Ujde Hue Logon Men Vafa Ke Moti...
Ye Khazane Tujhe Mumkin Hai Kharabon Me Mile...

 

Is Se Pehle Ki Be-Vafa Ho Jaaen...
Kyuun Na Ai Dost Hum Juda Ho Jaaen...
Tu Bhi Hiire Se Ban Gaya Patthar...
Ham Bhi Kal Jaane Kya Se Kya Ho Jaaen...

Written By:- Ahmad Faraz

Comments

Popular posts from this blog

Ishq Ki Mehfil : Here's some lovely and sad Shayari By: Shaikh Hozaifa

Let’s have A look at the Biography of All-Time Best Shayar: Ahmad Faraz